0

Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-821
Mard ke liye Soona-Gold
Pahennaa Haraam hai...

(mard musalmaan ke liye) Sonaa (ke gehney/ghaadee ya koi bhi zeenat badhaaneywali cheez) Pahenna Haraam hai.

(Muslim Shareef ki Riwaayat ke mutabiq/Raavi-Hazrat abduLLAAH Ibn e Abbaas razi)

Notes :

mard Musalmaano ke liye Daant ya koi bhi Bimaaree ke Ilaaj ke liye Soney ka Istemaal kaun kaun si surat mein Jaiz hai aur kaun kaun si surat mein NaJaiz hai ye Mufti Sahib/Daar ul Iftaa se mAalum kijiye...

Unaani Maajun, Ayurvedic Suwarna Bhasmaa/chaatan aur dusri bahoot saari Dawaao mein Sona istemaal hota hai, kaun kaun si surat mein Mardo ke liye Jaiz hai aur kaun kaun si surat mein NaJaiz hai ye Mufti Sahib/Daar ul Iftaa se mAalum kijiye...

Gold Finished wale Mobile mein mukammal Sona Nahin hota lekin Soney ki kuchh miqdaar zarur hoti hai, kaun kaun si surat mein Mardo ke liye Jaiz hai aur kaun kaun si surat mein NaJaiz hai ye Mufti Sahib/Daar ul Iftaa se mAalum kijiye...

--------------------------/---------------------/-------------

Apney MaaBaap ke liye Surah (Number 14) ki AayaatNo. 41 (14:41) ke zariye DuAa kiyaa kijiye :

* Rabbanagfirlee wali Waali Dayya walil Mu’meenena Yawma Yaqqu-mul Hisaab.*

Tarjama:

aye Humaare (piyaare) Rabb, Humaare (Gunaaho ko) aur Humaare MaaBaap (ke Gunaaho ko) aur (Tamaam) Ahl e Imaan (ke Gunaaho ko) MuAaf karna uus (qayaamat ke ) Din Jab (aamaalo ka) Hisaab (scrutiny) honga.

Ye DuAa padhney se MaaBaap ke liye DuAa e maghfirat ke saath saath Tamaam Ahl e Imaan ke liye bhi DuAa e maghfirat ho jaati hai aur Nek logon mein humara shumaar bhi ho jaata hai jaisey kisi ne ek buzurg se Do sawaalaat kiye ke :

1) Mai Nek hu ya Nahin ye kaisey MaAlum honga ??

2) Nek Banne ka Nuskhaah kiya hai ??
Buzurg ke Jawaabaat :

1) agar Tum hamesha apney MaaBaap ke liye DuAa karte ho toa Tum Nek ho kyuke Nek Avlaad hi apney MaaBaap ke liye DuAa karti hai !!

2) Nek Banne ka Nuskhaah ye hai ke hamesha

Apney Hayaat ya Marhum MaaBaap ke liye DuAa kiyaa karo kyuke RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ke Qaul ke Mutabiq Nek Avlaad (hi) apney MaaBaap ke liye DuAa karti hai !!

Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.

---------------------/--------------/-------------------------

Note :

Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.

-------------------------------------------------------------------

AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-137

Huquq ul Ibaad/Human Rights -125
A'alaa Hone ka Ghalat
Gumaan Nikaalo...

kal Aaj Ka sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne ye Mafhum e Hadees Bataayee thee ke Tum Sab (hazrat) Aadam (a.s.) ke Betey ho aur (hazrat) Aadam (a.s.) Mitti se Paidaah hue hai aur Tashree mein ye kaha tha ke kisi ke DiL mein ye Gumaan/ghamand ho ke mai Khaandaan ya Nasab ke etbaar se A'la hu toa wo ye Ghalat Gumaan Nikaal de kyuke ALLAH ke qareeb Izzat wale sirf Muttaqee log hi hai chaahe wo koi bhi Khaandan/Kabeley ke ho..
.
Ab AAge Padhiye...

Insaan ko Dimaag se ye Ghalat Gumaan Nikaal dena chhaheeye ke Mai Fulaa ka Baap-Beta-Poota-Nasaawsa, Bhatija,Bhaanja hu Jo Badey Maaldaar, Neta, Doctor, Nawaab, Muftee, Aalim, Peer, Buzurg, Mukarrir thea, Mera Nasab- Khaandaan, Qabeelaa, Biraadari A'laa hai..
..
DiLoDimaag mein Hamesha ye Yaad rakhna chahiye ke ALLAH ne sirf Mutaqqee (repeat sirf Muttaqee) Insaan ko hi Apna qareebee Declare kiya hai...

• Point...Nukta...•

Insaan Apney Pet mein Hamesha Gandagee ko lekar chalta hai aur Roz Apnee hi Gandagee par Baithana uuski Majburi hai...

Es Haqeeqat ko Insaan Hamesha Apney Zehan mein rakhe toa Kabhi bhi uusmein Ghamand paidaah Nahin honga aur Apney aapko, Apneee Biraadari ko, Apney Nasab ko, Apney Khaandaan ko kabhi bhi A'laa, Uucha Nahee Samjenga...

----------------------------------/--------------------/---------

Post a Comment

 
Top