

Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-820
Hazrat Sayyidaah رضي الله عنه
Maa Aisha siddeeqaah
ki Bataayee hue
Anmool Nabwee DuAa
*ALLAHummaj Alnee MinaLLazeena izaa Ahsanu
Istabsharu wa izaa Asaa-uu Istagfaru.*
Mafhumi Tarjama :
aye merey ALLAH ....... Tu mujhe Terey uun Achchhey Bando mein Shameel Farma ke jab (wo) Neki karey toa uunhe Khushi ho aur jab uunse (koi) Ghalti ho jaaye (toa) Teree Baargaah mein Istaghfaar (yaanee aisee pakkee Tavbaah karey kee doobara wohi ya dusrey Tamaam Gunaaho se bachney ki mukammal koshish) karey...
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
----------------
Note
: Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
-----------------------------------/-----------------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-136
Huquq ul Ibaad/Human Rights -125
Nasab ka Ghamand
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
يَا أَيُّهَا النَّاسُ إِنَّا خَلَقْنَاكُم مِّن ذَكَرٍ وَأُنثَىٰ وَجَعَلْنَاكُمْ شُعُوبًا
وَقَبَائِلَ لِتَعَارَفُوا إِنَّ أَكْرَمَكُمْ عِندَ اللَّهِ أَتْقَاكُمْ إِنَّ اللَّهَ عَلِيمٌ خَبِيرٌ
Surah (No.49) Hujuraat, Aayaat No.13 (49:13)
Mafhumi Tarjama :
aye Insaano/Manushya/Logon...BeShak Hum ALLAH ne Paidaah kiya (tamaam Insaano ko) Ek Mard (hazrat Aadam a.s.) aur Ek Aurat (hazrat Maa Hawwa a.s.) Se aur Banaye Tumhaare Kumbey aur Kabeeley taake Pehchaano Ek Dusro ko...Yaqeenan Bahoot Ikraamwala Tum mein se ALLAH ke Nazdeek Wo (shakhs) hai jo (Tum mein) Ziyaadaah Taqwey wala (Parhezgaar, Khuda se Darney wala) hai, BeShak ALLAH (har cheez ka) Jaanneywala (har tarah ki) Khabar rakhney wala hai !!
Es aayaat ke mutaalliq kal Aaj Ka sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Bataya tha ke Ahl e Arab khudko Arab yaanee Bolney wala aur gairArab ko Ajamee yaanee Gunga kehtey aur maantey thae yaha Tak ki koi Ara'bee mein boley toa hi uusko Bolna kahtey thae, Dusri Zubaan-Language mein agar koi Baat kahe toa uusey BadBadana kehte thae lekin RasulALLAHصلی اللہ علیہ وسلم ne Hazrat Bilaal razi. gairArab (habshee) hone ke Baawajud Hazrat Bilaal razi. ko jo Makaam diya aur Pehlee Azaan bhi Deney ka Sharf bhi Hazrat Bilaal razi. ko dekar Ahl e Arab ko Ek Aisa Sabaq diya jiski Misaal Aaj bhi Milna Mumkeen nahin...
Ab AAge Padhiye...
Mafhum e Hadees :
Tum Sab (hazrat) Aadam (a.s.) ke Betey ho aur (hazrat) Aadam (a.s.) Mitti se Paidaah hue hai...
Tashree :
kisi ke DiL mein ye Gumaan/ghamand ho ke mai Khaandaan ya Nasab ke etbaar se A'la hu toa wo ye Ghalat Gumaan Nikaal de kyuke ALLAH ke qareeb Izzat wale sirf Muttaqee log hi hai chaahe wo koi bhi Khaandan/Kabeley ke ho..
.
• Point...Nukta...•
Abu Lahab Arab aur RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ke Chacha hone ke Baadwajud QurAan mein uunke aur uunkee Biwee ke Khilaaf Mukammal Surah Naazeel hue jab kee Hazrat Bilaal razi., Hazrat Soheil Rumee razi aur Hazrat Salmaan Faarsi razi. gairArab hone ke Baawajud Badey Sahabee razi. kahlaaye...!!-
--------------------------------/------------------/--------------
Post a Comment