

Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-819
Fazail e Istaghfaar - 350
Fazail e Istaghfaar par Itney Ziyaadaah aSbaaq deney par Hazrat Mavlana Yunus Sahib db ko Hum sachchey DiL se MubarakBaadi de rahey hai...
Maghfirat - Gunaah MuAafi ka Nabwee Nuskha
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ka Farmaan :
Jo Shakhs 1 martaba
(dusri riwaayat ke Mutabiq 3 Martaba ye jumlaa) Padhey :
* AstagfiruLLA Hal-lazee laa ilaa ha illaa hu-wal Hayyul Qayyumu wa Atubu ilai-hi.*
(toa) iskey Padhtey hi ALLAH (ye jumla/astaghfaar
Padhneywale ke) Gunaaho ko MuAaf kar deta hai agarchey wo Maidaan e Jung se (bina ijazat) Bhaaga ho…!!
(baHawaala Abu Daawud, Haakim Shareef aur Hisn e Haseen page 488)
Tarjama :
Mai uus ALLAH se Maghfirat (gunaah ki MuAafi/Repentance) chaahta hu jiske siwaa koi Maabud Nahin, wo (hamesha hamesha) Zinda Rahnewaala (Aasmaano aur Zameen ko) Qaayam rakhneywala hai aur uusi se Tavbaah karta hu…!!
TnC Apply-Shartey Laagu :
Jaadu-Tona karna, Bila Kasur Talaaq Dena-Khula Maangna, Gumraahi wali Baat ko Deen kahkar logon mein failana, gairHadees ko Hadees kahkar aage badhana, Jhuthe Khwaab bayaan karte rahna, ALLAH walon ki Toheen karte rahna, Qarz, Amaanat, Miraas, Huqu ul Ibaad (logon ke huquuq/human rights), Qaza Namaaz, Qaza Rozeh, baaqi Qurbaani, baaqi Farz Haj, pichhli–mavjudaah baaqi Zakaat, baaqi Kaffara, pichhla–baaqi Fitra, Rail-Bus mein Bila Ticket Safar, Meters mein setting-Gadbad karke Gas, Bijli, Paanee wagairaah ki chori, Kisi Insaan ko ya Kisiki 2-3-4 Wheeler ko Takkar Maarkar-Nuqsaan Pahoochakar Bhaag jaana, AibDaar maal Aib bataye bagair hi bechna, Kisi ka bhi Nuqsaan karna, Kisi ko Satana-Takleef Dena, wagairaah ye sab Gunaah, Logon ke Huquq waigairah Tavbaah - Istaghfaar, Kaamil Wuzu, Kaamil Namaaz, Roney GidGidaane se ya koi bhi DuAa, Daruud Shareef padhney ya Mannato se ya Yawm ul Arfaah ki Haajri-Yawm ul Arfaah ki DuAa, Haj, SalaatusTasbih se ya aur koi bhi Nuskhey se muAaf NAHIN HONGE, Lihaaza jald se jald inn Tavbaah-Istagfaar-Tasbeeh-Nuskhoo se MuAaf Nahin honewale Tamaam Gunaaho ki Mukammal Tafseel Ulma se maalum karke in Gunaaho ki MuAafi - Talaafi - Adaigee kaisey ki jaaye ye Ulma se Puchhkar favran amal kijiye kyuke Zindagee ka koi bharosa Nahin. Zindagee ke is mavqe ka Faaydaah uuthaaeeye warna ye Mavquah aur Zindagi Naa Milegi Dobaara
----------------/-----------------------/----------------------
Qaul
Baar Baar Tavbaah karna aur phir uusee Gunaah
par Jamey rahna ALLAH se Mazaaq hai...
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Mufti Muhammad Ebraheem Qaasmee sb. db., NYC, USA
----------------------/------------------/--------------------
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
--------------------------/---------------------/-------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-135
Huquq ul Ibaad/Human Rights -124
Uuch- Neech Goora Kaala
America mein Aaj bhi Goorey log Kaale Logon ko Haqeer Nigaah se Dekha jata hai...
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
يَا أَيُّهَا النَّاسُ إِنَّا خَلَقْنَاكُم مِّن ذَكَرٍ وَأُنثَىٰ وَجَعَلْنَاكُمْ شُعُوبًا
وَقَبَائِلَ لِتَعَارَفُوا إِنَّ أَكْرَمَكُمْ عِندَ اللَّهِ أَتْقَاكُمْ إِنَّ اللَّهَ عَلِيمٌ خَبِيرٌ
Surah (No.49) Hujuraat, Aayaat No.13 (49:13)
Mafhumi Tarjama :
aye Insaano/Manushya/Logon...BeShak Hum ALLAH ne Paidaah kiya (tamaam Insaano ko) Ek Mard (hazrat Aadam a.s.) aur Ek Aurat (hazrat Maa Hawwa a.s.) Se aur Banaye Tumhaare Kumbey aur Kabeeley taake Pehchaano Ek Dusro ko...Yaqeenan Bahoot Ikraamwala Tum mein se ALLAH ke Nazdeek Wo (shakhs) hai jo (Tum mein) Ziyaadaah Taqwey wala (Parhezgaar, Khuda se Darney wala) hai, BeShak ALLAH (har cheez ka) Jaanneywala (har tarah ki) Khabar rakhney wala hai !!
Es aayaat ke mutaalliq kal Aaj Ka sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Bataya tha ke sirf Shanakh ke liye hi alag alag Kabiley banaye gaye hai, koi bhi Insaan mey uuch-neech Nahin hai...Sirf Taqwey wala Insaan hi ALLAH se Ziyaadaah Qareeb hai...
Ab AAge Padhiye...
Ahl e Arab khudko Arab yaanee Bolney wala aur gairArab ko Ajamee yaanee Gunga kehtey aur maantey thae yaha Tak ki koi Ara'bee mein boley toa hi uusko Bolna kahtey thae, Dusri Zubaan-Language mein agar koi Baat kahe toa uusey BadBadana kehte thae lekin RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Hazrat Bilaal razi. gairArab (habshee) hone ke Baawajud Hazrat Bilaal razi. ko jo Makaam diya aur Pehlee Azaan bhi Deney ka Sharf bhi Hazrat Bilaal razi. ko dekar Ahl e Arab ko Ek Aisa Sabaq diya jiski Misaal Aaj bhi Milna Mumkeen nahin...
• Point...Nukta...•
Aaj bhi Goorey American log Kaale American Logon ko Neech-Backward-Haqeer Nigaah se Dekha jata hai...
-----------------------/----------------------------/-------------
Post a Comment