0

❀۞❀                                 

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 26

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Janaza Le Jane ka Masnoon Tareeqa-2,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Janaze ko tez qadam le Jana masnoon he ,magar na itni tez k Mayyat ko harkat v iztraab hone lage ,

📓 Bahishti Gohar,

✿ Janaze ke hamraah Pyada pa ( Paidal ) chalna mustahab he aur agar kisi sawaari per ho to Janaza ke pichhe chale ,

📓 Bahishti Gohar,

✿ Jo log Janaza ke hamraah ho unko janaze ke pichhe chalna mustahab he ,agarche Janaza ke aage chalna bhi jaa'iz he ,Haa'n ! Agar Janaza se aage bahut door chala jaye ya sab log janaze ke aage ho jaye to makrooh he ,

⇛isi tarah Janaza ke aage ki sawaari per chalna bhi makrooh he ,

📓 Bahishti Gohar ,

✿ Jo log Janaza ke saath ho unhe Janaza ke Daaye ya Baaye nahi chalna chahiye,

📓 Aalamgiri ,

✿ Janaza ke hamraah Jo log ho unko koi zikr ya Dua buland awaaz se padhna makrooh he,

📓 Bahishti Gohar ,

✿ Jo log Janaza ke saath na ho balki kahi Bethe ho ,aur unka iraada Janaza ke saath Jane ka bhi na ho ,unko Janaza dekh kar khada nahi hona chahiye,

📓Bahishti Gohar,

Next -27 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 58

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 27

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Janaza Le Jane Ka Masnoon Tareeqa,-3 ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Jo log Janaza ke hamraah jaye unko isse pehle , k Janaza shaano se utaara jaye ,bethna makrooh he, Haa'n ! Koi zarurat bethne ki pesh aaye to muzayqa nahi ,

📓 Bahishti Gohar,

✿ Jo shakhs Janaza ke saath ho use bager Namaz padhe wapas nahi aana chahiye, albatta Namaz padh kar Mayyat walo se ijazat lekar aa sakta he ,aur Dafan ke baad ijazat ki zarurat nahi ,

📓 Aalamgiri,

✿ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam Janaza ke saath paidal tashreef le jate the,

📓 Tirmizi ,

✿ Aur jab tak Janaza kandho se utaara na jata ,na beth te ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k ,

Jab tum Janaza me aao to jab tak use na rakh diya jaye mat betho ,

⇛ Aur ek Rivayat me he k ,
Jab tak lahad ( Qabr ) me na rakh diya jaye na betho ,

📓 Madarij Annabuwah ,

✿ Jab Aap Sallallahu Alaihivasallam Janaza ke saath jate to paidal chalte aur farmate k,

Me sawaar nahi hota jabki Farishte paidal ja rahe ho'n ,

⇛ Jab Aap Sallallahu Alaihivasallam ( Dafan se ) faarig ho jate to kabhi paidal wapas hote ,kabhi sawaar hokar,

📓 Zaadul Ma'aad ,

✿ Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam jab Janaza ke saath chalte to khamosh rehte aur apne Dil me Maut ke muta'alliq Guftgu farmate ,

📓 Ibne Sa'ad ,

Next -28 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 59

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 28

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞  Namaze Janaza Ka Bayan ,-1,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿  Mayyat per Namaze Janaza padhna bhi Farze Kifaya he ,yani agar kisi ne bhi us per Namaz na padhi to jin jin logo ko maloom tha Wo sab gunahgaar  honge ,

⇛Aur agar sirf ek shakhs ne bhi Namaz padh li to Farze Kifaya ada ho jayega ,kyuki jama'at Namaze Janaza ke liye shart ya waajib nahi ,( tafseel aage aayegi in sha Allah)

📓 Shaami ,

✿ Agar Juma ke din kisi shakhs ka inteqal ho gaya to agar Juma ki Namaz se pehle Kafan ,Namaz aur Dafan vagera ho sake to zaroor kar le ,is khayal se Janaza roke rakhna k Juma ki Namaz me majma zyada hoga makrooh he ,

📓 Shaami ,Bahishti Gohar,

✿ Agar Janaza us waqt aaya jabki Farz Namaz ki Jama'at ( Juma ya gair Juma ) tayyar ho to pehle Farz ,Sunnate padh le ,fir Janaza ki Namaz padhe ,

📓 Durre Mukhtar, Shaami ,

✿ Agar Namaze Eid ke waqt Janaza aaya to pehle Eid ki Namaz padhe ,fir Eid ka khutba padha jaye ,uske baad Janaza ki Namaz padhe ,

📓 imdadul Fatawa ,1/505

✿ Marne wale shakhs ne wasiyat ki k meri Namaze Janaza fala Shakhs padhaye ,to moatbar nahi ,aur Shar'an us per Amal karna zaroori nahi ,

⇛ Namaze Janaza padhane ka jin logo ko haq diya he ,unhi ko imaam banana chahiye, albatta agar wahi kisi aur ko imaam banana chahe to muzayqa nahi ,

📓 Maraqil Falah ,324

Next -29 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 59

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 29

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Namaze Janaza Ka Waqt ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Jis tarah panj waqta Namaz o ke liye waqt muqarrar he ,Namaze Janaza ke liye us tarah ka koi khaas waqt zaroori ya Shart nahi ,

📓 Shaami, Bahishti Gohar

✿ Namaze Fajar ke baad tulu Aaftaab se pehle aur Namaze Asr ke baad Aaftaab zard hone se pehle nifl aur Sunnate padhna to mamnoo he ,magar Namaz e Janaza in avqaat me bhi bila karahat durust he ,

📓 Aalamgiri, Shaami ,Imdadul Fatawa ,

✿ Aaftaab ke tulu ,zawal ( theek dopahar ) aur guroob ke waqt doosri namazo ki tarah Namaze Janaza bhi jaa'iz nahi ,

⇛Tulu ka waqt Aaftaab ka ouper ka kinara zaahir hone se shuru hokar us waqt tak rehta he jab tak k Aaftaab poora nikal kar ouncha na ho jaye ,

⇛Yani nazar jab tak us per jam sakti ho ,aur guroob ka waqt Aaftaab ka rang zard pad Jane se shuru hota he ,yani jab se k us per jamne lage aur us waqt tak rehta he jab tak k Aaftaab poora gayab na ho jaye ,

📓 Shaami ,1/341,344,Aalamgiri, 1/52,Bahishti Zever

✿ Namaze Janaza mazkura baala ( Jo ouper bayan hui ) teen avqaat me padhna is soorat me na-jaa'iz he jabki Janaza in avqaat se pehle aa chuka ho ,aur agar Janaza khaas tulu ,zawal ya guroob hi ke waqt aaya to us per Namaze Janaza us waqt bhi jaa'iz he ,

📓 Aalamgiri, Durre Mukhtar, Shaami ,

✿ Khulasa ye he k Namaze Janaza in teen avqaat ( tulu ,zawal,guroob ) ke alawa har waqt bila karahat jaa'iz he, aur in teen avqaat me bhi us soorat me jaa'iz he jabki Janaza khaas inhi avqaat me aaya ho ,

Next -30 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 61

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                 

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 30

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Namaze Janaza- Sharayat ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Namaze Janaza Farz hone ki wahi sharte he'n jo aur Namazo ke liye he'n ,yani Qudrat ,Balug aur Islam ,albatta isme ek shart aur zyada he aur Wo ye k us shakhs ki maut ka ilm bhi ho ,pas jisko ye khabar na hogi Wo mazoor he ,Namaze Janaza us per Farz nahi ,

📓 Bahishti Gohar,

✿ Namaze Janaza ke sahi hone ke liye 2 qism ki sharte he'n ,ek qism ki Wo Jo Namaz padhne walo me payi jani zaruri he ,Wo wahi he Jo aur Namazo ke liye he'n ,yani taharat ,Satar,Qibla ki taraf moonh karna aur Niyat ,

✿ Albatta Namaze Janaza ke liye tayammum ,Namaz na milne ke khof se jaa'iz he ,Maslan Namaze Janaza ho rahi ho aur Vazu karne me ye andesha ho k Namaz khatm ho jayegi to tayammum karke Namaz padh Lena chahiye,

⇛Agarche pani mojood ho ,ba khilaf aur Namazo ke k unme agar waqt chale Jane ka khof ho tab bhi pani per qudrat ki soorat me tayammum jaa'iz nahi,

📓 Bahishti Gohar,

Next -29 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 62

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 31

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞  Joote Pehan kar Namaze Janaza padhna,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Aaj kal baaz log Janaza ki Namaz joote pehne hue padhte he'n ,unke liye zaruri he k wo jis jagah khade ho Wo jagah aur Joote dono paak ho ,varna unki Namaz nahi hogi ,

📓 Bahishti Gohar

✿ Aur agar joota payr se nikaal diya jaye aur us per khade ho to sirf Joote ke ouper ka hissa Jo payr se mila ho uska paak hona zaruri he ,agarche talaa napaak ho ,neez is soorat me Wo zameen bhi napaak ho to koi harj nahi ,

📓 Bahishti Gohar, imdadul Ahkaam ,

Next -32 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 62

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                 

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 32

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Wo Sharte'n Jinka Mayyat me Paya Jana Zaruri he ,-1,

                         ↴↴↴↴↴↴

☞ Doosri Qism ki Wo Sharte'n he'n jinka Mayyat se ta'alluq he ,Wo 6 he'n ,

✿ 1- Mayyat ka musalman hona ,

⇛ Kafir aur Murtad per Namaz sahi nahi ,Musalman agarche Fasikq aur Bid'ati ho us per Namaz sahi he ,sivae un logo ke Jo Musalman haakim se bagawat karte hue ya Daka zani karte hue ya qabaili ,watani ,soobai ya lisaani tassub ke liye ladte hue maare jaye ,un logo per Namaze Janaza nahi padhi jayegi , aur agar ladaai ke baad Qatl kiye gaye ya ladaai ke baad apni maut mar jaye to fir unki Namaz padhi jayegi ,

📓 Bahishti Gohar, Durre Mukhtar, Shaami ,

✿ isi tarah jis shakhs ne apne Baap ya Maa'n ko Qatl kiya ho aur uski saza me Wo maara jaye to uski Namaz bhi nahi padhi jayegi ,

📓 Bahishti Gohar,

✿ Jis shakhs ne khudkushi ki ho sahi ye he k usko Gusl diya jayega aur us per Namaze Janaza bhi padhi jayegi ,

📓 Bahishti Gohar,

✿ Mayyat se muraaad. Wo shakhs he Jo zinda payda hokar mar gaya ho ,ya batani maadar se uske jism ka aksar hissa ba-haalate zindgi baahar aaya ho ,Aur agar Mara hua payda hua ya Aksar hissa nikalne se pehle mar jaye to uski Namaz durust nahi ,

📓 Bahishti Gohar, Bahishti Zever,

Next -33 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 63

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                   

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 34

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Wo Sharte'n jinka Mayyat me paya Jana zaruri he,-3-4-5-6,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ 3-  Teesri Shart ,

⇛ Mayyat ke jism wajibul satar ( yani badan ka Wo hissa jiska chhipana waajib aur zaruri he ) ka poshida hona ,agar mayyat barhana ho to us per Namaze Janaza durust nahi,

📓 Bahishti Gohar,

✿ 4- Chothi Shart ,

⇛ Mayyat ka Namaz padhne walo ke aage hona ,agar Mayyat Namaz padhne walo ke pichhe ho to Namaz durust nahi,

✿ 5- Paanchvi Shart ,

⇛ Mayyat ka ya jis cheez per Mayyat ho uska zameen per rakha hua hona ,agar Mayyat log apne haatho per uthaye hue ho ya kisi gaadi ya jaanwar per ho aur usi haalat me uski Namaz padhi jaye to uzr ke bager sahi nahi hogi ,

📓 Bahishti Gohar v Shaami ,1/813

✿ 6- Chhati Shart ,

⇛ Mayyat ka waha mojood hona ,agar Mayyat waha mojood na ho to Namaz sahi na hogi ,

Next -35 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 65

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                 

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 33

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Wo Sharte'n Jinka Mayyat me Paya Jana zaruri he,-2'

                         ↴↴↴↴↴↴

       ☞  Doosri Shart ,

✿ Mayyat ke Badan aur Kafan ka najsate Haqeeqiya se Paak hona ,

Haa'n agar najasate haqqeeqiya usi ke Badan se Kafnane ke baad khaarij hui ho aur is Sabab se uska Badan ya Kafan bilkul najis ho jaye to koi muzayqa nahi ,Namaz durust he ,Dhone ki zarurat nahi,

✿ Agar koi Mayyat najasate haqeeqiya se taahir na ho yani usko Gusl na diya gaya ho aur dar soorat na mumkin hone  Gusl ke tayammum bhi na karaya gaya ho ,us per Namaz durust nahi,

⇛Haa'n agar uska Taahir hona mumkin na ho Maslan be Gusl ya tayammum karaye hue Dafan kar chuke ho aur Qabr per mitti bhi pad chuki ho ,magar naash fati na ho to fir uski Namaz uski Qabr per usi haalat me padhi jayegi ,

⇛Agar kisi Mayyat be Gusl ya tayammum ke Namaz padhi gayi ho aur Wo Dafan kar diya gaya ho aur baad Dafan ke maloom hua k usko Gusl na diya gaya tha ,to jab tak naash fati na ho uski Namaz dobara uski Qabr per padhi jaye ,isliye k pehli Namaz sahi nahi hui ,Haa'n ab chunki Gusl mumkin nahi he lihaza Namaz ho jayegi ,

📓 Bahishti Gohar,

✿ Agar koi Musalman be Namaze Janaza padhe hue Dafan kar diya gaya ho to uski Namaz uski Qabr per padhi jayegi ,jab tak k uski naash ke fat Jane ka andesha na ho ,

⇛ Jab khayal ho k ab naash fat gayi hogi to fir Namaz na padhi jaye aur naash fatne ki muddat har jagah ke aitbaar se mukhtalif he uski tayin nahi ho sakti ,yahi zyada sahi he ,baaz ne 3 din aur baaz ne 7 din aur baaz ne ek maah ki muddat bayan ki he ,

📓 Bahishti Gohar,

✿ Mayyat agar kisi paak palang ya takht ya kisi paak gadde ya lihaaf per rakhi ho to us palang vagera ki jagah ka paak hona shart nahi ,esi soorat me bila shak v shubh Namaze Janaza durust he,

⇛Aur agar Palang ya takht vagera bhi napaak ho ya Mayyat ko bager takht aur palang ke napaak zameen par rakh diya he to esi soorat me Mayyat ki jagah ka paak hone ke shart hone na hone me ikhtilaf he ,baaz ke nazdeek shart he ,lihaza napaak takht ya napaak zameen per rakhne ki soorat me Namaze Janaza durust nahi hogi ,aur baaz ke nazdeek shart nahi lihaza Namaz sahi ho jayegi ,

📓 Bahishti Gohar

Next -34 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 63

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                   

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 36

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞  Namaze Janaza me 3 cheeze  Masnoon he,'n ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ 1- Allaah Ta'ala ki Hamd Karna ,

✿ 2- Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam per Darood Padhna ,

✿ 3- Aur Mayyat ke liye Dua Karna ,

📓 Bahishti Gohar,

✿ Jama'at is Namaz me Shart nahi ,pas agar ek shakhs bhi Janaza ki Namaz padh le to Farz ada ho jayega ,chahe Wo Namaz padhne wala Aurat ho ya Mard ,Baalig ho ya Na-baalig, aur agar kisi ne bhi na padhi to sab gunahgar honge ,

📓 Bahishti Gohar, Shaami,

✿ Lekin Namaze Janaza ki jama'at me jitne zyada log ho utna hi behtar he ,isliye k ye Dua he ( Namaze Janaza) Mayyat ke liye, aur chand Musalmano ka Jama hokar Baargahe ilaahi me kisi cheez ke liye Dua karna ek Ajeeb khasiyat rakhta he nuzoole Rehmat aur qubooliyat ke liye,

⇛ lekin Namaze Janaza me is garz se takheer karna k jama'at zyada ho jaye makrooh he,

📓 Bahishti Gohar,

Next -37 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 66

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 35

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Nsmaze Janaza ke Faraiz ,

                         ↴↴↴↴↴↴

☞ Namaze Janaza me 2 cheeze Farz he'n ,--

✿ 1- Chaar martaba Allahu Akbar kehna ,har takbeer yaha qaayam muqaam ek Raka'at ke samjhi jati he ,

⇛yani Jese doosri Namazo me Raka'at zaroori he wese hi Namaze Janaza me har Takbeer zaroori he ,

📓 Bahishti Gohar ,

✿ Agar imaam Janaza ki Namaz me 4 takbeer se Zaa'id kahe to Hanafi Muqtadiyo ko chahiye k un zaa'id takbiraat me uska itteba na kare ,balki sukoot kiye hue khade rahe, Jab imaam salam fere to khud bhi salam fer de ,

⇛Haa'n agar Zaa'id Takbeere imaam se na suni jaye balki mukabbir se ,to Muqtadiyo ko chahiye k itteba kare aur har Takbeer ko Takbeere Tehrima Samjhe , Ye khayal kare k Shayad isse pehle Jo 4 Takbeere Mukabbir naqal kar chuka he WO galat ho ,Imaam ne ab Takbeere Tehrima kahi ho ,

📓 Durre Mukhtar ,Shaami ,

✿ 2- Qayaam ,yani khade hokar Namaze Janaza padhna ,Jis tArah Farz ,Waajib Namazo me qayaam Farz he aur be uzr iska tark Jaa'iz nahi, usi tarah Namaze Janaza bhi bila uzr beth kar padhne se adaa nahi hoti ,

📓 Bshishti Gohar ,

✿ Azaan v Aqaamat aur Qiraat ,Ruku ,Sajda ,Qaa'adah vagera is Namaz me nahi ,

📓 Bahishti Gohar ,

Next -36 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 65

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                   

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 37

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Namaze Janaza ka Tareeqa,-1,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Namaze Janaza ka mustahab aur Masnoon Tareeqa ye he k Mayyat ko Aage rakh kar imaam uske seene ke muhazi khada ho jaye ,aur sab log ye Niyat kare ,-

⇛Mene iraada kiya k Namaze Janaza padhu ,Jo Allah Ta'ala ki Namaz he aur Mayyat ke liye Dua he ,

✿ Ye niyat karke Dono haath misl takbeere Tehrima ke kaano tak uthaakar ek martaba.   '' Allahu Akbar "   keh kar dono haath misl( jis tarah Namaz me baandhte he'n ) Namaz ke baandh le ,

✿ Fir Sana ( Subhanaka allahumma )  Akheer tak padhe uske baad fir ek baar " Allahu Akbar ". Kahe magar is baar haath na uthaaye ,

⇛Baad iske Darood Sharif padhe ,aur behtar yahi he k wahi Darood Sharif ( Darood e Ibrahim )  padha jaye Jo Namaz me padha jata he ,

✿ Fir ek martaba " Allahu Akbar ". Kahe aur is martaba bhi haath na uthaaye ,is takbeer ke baad Mayyat ke liye Dua Kare ,  ( Baalig mard Aurat ,Na-baalig ladka ladki ki alag alag Duae'n he 'n ) Jo Duae'n Hadees me aayi he'n unko hi padhe jinko hamare fuqha ne bhi naqal kiya he ,Jis Dua ko Chahe padhe ,

✿ Jab Dua padh chuke to fir ek Martaba " Allahu Akbar " kahe aur is baar bhi haath na uthaaye ,aur is Takbeer ke baad haath chhod kar salaam fer de ,jis tarah Namaz me salaam ferte he , is Namaz me Attahiyaat ,aur Qiraat nahi he ,

📓 Bahishti Gohar,

,,,,,,,baqi Agle part me ,in sha Allah

Next -38 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 67

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 38

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞  Namaze Janaza ka Tareeqa,- 2 ,

                         ↴↴↴↴↴↴

"""""""""" 37 ka baqi hissa ,

✿ Agar kisi ko Namaze Janaza ki Dua yaad na ho to sirf

""" Allahummagfir lil mu'amineena wal mu'aminaati ,,,"

Padh le ,agar ye bhi yaad na ho sake to sirf 4 takbeere keh dene se bhi Namaz ho jayegi ,( Chahe aur kuchh bhi na padhe ) ,

⇛isliye ki  Darood Sharif aur Dua Farz nahi he ,Masnoon he ,

📓 Bahishti Gohar,

✿ Namaze Janaza ke baad wahi'n haath uthaakar Dua maangna Makrooh he ,Sunnat se saabit nahi he ,Kyuki Namaze Janaza khud Dua he ,

✿ Namaze Janaza imaam aur Muqtadi dono ke haq me yaksa he sirf itna farq he k imaam Takbeere aur Salaam Buland awaaz se kahega aur Muqtadi Aahista awaaz se, baqi cheeze Sana aur Darood aur Dua Muqtadi bhi Aahista awaaz se padhenge ,aur imaam bhi Aahista awaaz se padhega ,

📓 Bahishti Gohar,

✿ Janaza ki Namaz me mustahab he k haazireen ki 3 safe kar di jaye ,yaha tak k agar sirf 7 Aadmi ho to ek Aadmi unme se imaam bana diya jaye ,aur pehli saf me 3 Aadmi ho aur Doosri Saf me 2 aur Teesri saf  me ek Aadmi ho ,

📓 Bahishti Gohar,

Next -39 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 68

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 39

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Wo cheeze  Jinse Namaze Janaza Faasid ho jati he ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Janaza ki Namaz bhi un cheezo se Faasid ho jati he jin cheezo se doosri Namazo me fasaad aata he ,

⇛ Sirf itna farq he k Janaza ki Namaz me Qahqaha ( Awaaz se hansna ) se Vazu nahi jaata aur Aurat ki muhazaat se bhi isme fasaad nahi aata,

📓 Bahishti Gohar,

Next -40 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 69

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                 

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 40

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Masjid aur Wo maqamaat jinme Namaze Janaza makrooh he ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Janaza ki Namaz us Masjid me padhna makrooh tehrimi he Jo panj waqta Namazo ya Juma ya Eiden ki Namaz ke liye banayi gayi ho ,chahe Janaza Masjid ke Andar ho ya Masjid se bahar ho aur Namaz padhne wale Andar ho ,

⇛Haa'n Jo khaas Janaza ki Namaz ke liye banayi gayi usme makrooh nahi ,

📓 Bahishti Gohar,

👉🏽 Hashiya ---- Aur agar ye Soorat ho k Janaza aur imaam ma'a kuchh Muqtadiyo ke Masjid se bahar ho  aur Baqi Muqtadi Andar ho to is soorat ko bhi Allaama Shaami aur Sahibe Durre Mukhtar ne makrooh qaraar diya he ,lekin imdaadul mufteen me Fatawa bazaziya ke hawale se ise jaa'iz likha he ,lihaza ahatyaat bahar haal isme he k bila uzr is soorat se bhi ijtnaab kiya jaye ,

📓 Rafee'a ,

✿ Agar Masjid ke bahar koi jagah na ho to majboori me Masjid me padhna makrooh nahi ,

📓 imdadul Fatawa, 1/534

👉🏽 Harmen Sharifen me isi Uzr ki bina per Masjid me Namaze Janaza padhi jati he ,

✿ Aam Raaste per Namaze Janaza padhna k jisse guzarne walo ko takleef ho makrooh he,

📓 Shaami ,1./ 827

✿ Kisi doosre ki zameen per uski ijazat ke bager Namaze Janaza padhna makrooh he ,

👉🏽 Mayyat ko Namaz ke bager bhi Masjid me Dakhil karna makrooh he ,

📓 Shaami , 1/ 827

✿ Janaza ki Namaz beth kar ya Sawaari ki haalat me jaa'iz nahi, jabki koi uzr na ho ,

📓 Bahishti Gohar,

Next -41 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 69

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                 

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 41

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Agar Ek waqt me Bahut se Janaze Jama ho jaye ??

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Agar ek hi waqt me kai janaze Jama ho jaye to behtar ye he k har janaze ki Namaz alhida ( alag alag ) padhi jaye ,

⇛Aur agar sab janazo ki ek hi Namaz padhi jaye tab bhi jaa'iz he ,,aur us waqt chahiye k sab janazo ki saf qaayam kar di jaye ,jiski behtar soorat ye he k ek Janaze ke aage doosra Janaza rakh diya jaye ,k sab ke payr ek taraf ho aur sabke Sar ek taraf aur ye soorat isliye behtar he k isme sabka seena imaam ke muqabil ho jayega ,Jo Masnoon he ,

📓 Bahishti Gohar,

✿ Agar Janaze mukhtalif asnaaf ( Qismo ) ke ho to is tarteeb se unki saf qaayam ki jaye k imaam ke qareeb Mardo ke janaze ,unke baad Ladko ke janaze aur unke baad Baaliga Aurto'n ke ,unke baad Baaliga ladkiyo ke ,

📓 Bahishti Gohar,

Next -42 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 70

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                 

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 42

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Janaze Ki Namaz me masbooq aur Laahiq ke Ahkaam ,-1,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Agar koi shakhs Janaze ki Namaz me ese waqt pahuncha k kuchh takbeere uske aane se pehle ho chuki ho to Jis qadar Takbeere ho chuki ho unke aitbaar se Wo shakhs masbooq samjha jayega ,

⇛ Hashiya -- Kuunki pichhe maloom ho chuka he k Namaze Janaza me Takbeere Tehrima samet har Takbeer poori ek Raka'at ke hukm me he ,Pas jitni Takbeere faut ho gayi Goya k utni hi raka'ate faut ho gayi ( Shaami )

✿ Aur usko chahiye k foran aate hi aur Namazo ki tarah Takbeere Tehrima keh kar shareeq na ho jaye balki imaam ki agli Takbeer ka intezar kare ,Jab imaam Takbeer kahe to uske saath ye bhi Takbeer kahe aur ye Takbeer uske haq me Takbeer e Tehrima hogi ,

⇛ Fir Jab imaam Salam fer de to ye shakhs apni gayi hui Takbeero ko ada kare ,aur isme kuchh padhne ki zaroorat nahi ,

📓 Bahishti Gohar,

⇛Hashiya -- Lekin agar Wo Shakhs imaam ki agli Takbeer ka intezar kiye bager foran aate hi '" Allahu Akbar " keh kar Namaz me shareeq ho gaya to fir bhi Namaz durust ho jayegi ,Albatta shareeq hote waqt Jo Takbeere usne kahi Wo un 4 Takbeero me Shumaar na hogi Jo Namaze Janaza me Farz he ,
lihaza jab imaam Salam fer de to us Shakhs per laazim he k Jo Takbeere uske Namaz me shamil hone se pehle ho chuki thi Wo padh kar fir salaam fere ,

📓 Shaami ,

✿ Agar koi Shakhs Takbeere Tehrima yani pehli Takbeer ya kisi aur Takbeer ke waqt mojood na tha aur Namaz me shirkat ke liye tayyar tha magar susti ya kisi aur vajah se shareeq na hua ,( Yani usne Takbeere nahi kahi ) to usko imaam ki agli Takbeer ka intezar nahi karna chahiye balki foran Takbeer keh kar shareeq e Namaz ho Jana chahiye, aur us Takbeer ka lotana ( yani imaam ke Salam ke baad ) uske zimme na hoga ,

⇛Basharte k qabl iske k imaam agli Takbeer kahe ,ye us Takbeer ko Ada kar le, magar imaam ki maiyat na ho ,Haa'n is Takbeer se pehle Jo Takbeere faut ho chuki un Takbeero me ye Shakhs masbooq he ,Wo Takbeere ye imaam ke salaam ke baad ada kare ,

📓 Shaami ,Bahishti Gohar,

✿ Janaze ki Namaz ka masbooq jab apni gayi hui Takbeero ko ada kare aur ye khof ho k agar Dua padhega to der hogi aur Janaza uske saamne se utha liya jayega to Dua na padhe ,

📓 Bahishti Gohar, Shaami ,

✿ Janaze ki Namaz me agar koi Shakhs laahiq ho jaye to iska hukm wahi he Jo aur Namazo ke laahiq ka he ,

📓 Bahishti Gohar,

Next -43 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 70

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                   

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 43

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Janaza Ki Namaz me Imaamat Ka Mustahiq ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Janaze ki Namaz me imaamat ka istahqaaq sabse zyada Haakime Waqt  ( Badshah ,Sarbarahe Mulk ) ko he ,chahe Taqwa me usse behtar log bhi waha mojood ho ,

⇛Agar Haakime Waqt waha mojood na ho to uska nayab yani Jo shakhs uski taraf se Haakime Shehar ho Wo Mustahiqe imaamat he ,chahe Taqwa me usse Afzal log waha mojood ho ,aur Wo bhi na ho to Qazi Shehar ,Wo bhi na ho to uska naayab ,in logo ke hote hue doosre ko imaam banana bila unki ijazat ke jaa'iz nahi ,unhi ka imaam banana waajib he ,

⇛Agar ye log waha mojood na ho to us Mohalle ka imaam Mustahiq he ,basharte k Mayyat ke qareebi ( Rishte ) me usse Afzal na ho ,varna Mayyat ke Wo qareebi ( Rishtedar ) Jinko haq e wilayat haasil. He imaamat ka Mustahiq he ya Wo Shakhs jisko Wo ijazat de ,

Agar bager ijazat wali e Mayyat ke kisi ese Shakhs ne Namaz padha di ho jisko imaamat ka istahqaaq nahi aur Wali us Namaz me shareeq na ho to Wali ko akhtyar he k us Mayyat per baad me Namaz padh le ,chahe Mayyat dafan ho chuki ho tab bhi uski Qabr per Namaz padh sakta he , Jab tak ki naash ke fat jaane ka khayal na ho ,

📓 Bahishti Gohar,

✿ Haasil ye he k Ek Janaza ki Namaz kai martaba padhna Jaa'iz nahi, magar Wali e  Mayyat ko , Jabki uski ijazat ke bager kisi gair Mustahiq ne Namaz padha di ho to Dobara padhna durust he ,

📓 Bahishti Gohar,

Next -44 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 73

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 44

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Namaze Janaza Gaaibana ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Gaaibaana Namaze Janaza nahi padhte the ,lekin ye sahi he k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Shaahe Habsha Najashi ki Namaze Janaza gaaibaana padhi ,aur Hazrat Ma'aviya layshi Raziyallahu Anhu per bhi gaaibana Namaze Janaza padhi , lekin ho sakta he k ( Mayyat Huzoor Sallallahu Alaihivasallam per munkashif kar di gayi ho ya ) ye baat Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki khusoosiyat ho ,

📓 Shaami,

✿ Gaaibana Namaze Janaza ko Imaam Abu Hanifa Reh .aur Imaam Maalik Reh . mutlaqan mana karte he'n ,aur Aaimma Hanfiya ka iske adme jawaaz per ittefaaq he ,

⇛Janaza ka saamne mojood hona Sahate Namaze Janaza ki Shart he ,

📓 Shaami , Alhijr ,Bahishti Gohar, Madarij Al nabuwah,

Next -45 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 74

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 45

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞  Janaza me Kasrate Ta'adaad ki Barkat aur Ahmiyat ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Hazrat Aayesha Siddiqa Raziyallahu Ta'ala Anha se Rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jis Mayyat per Musalmano ki ek badi Jama'at Namaz padhe Jinki Ta'adaad 100 tak pahunch jaye ,

Aur Wo Sab Allah ke Huzoor me us Mayyat ke liye Sifarish kare ( Yani Magfirat v Rehmat ki Dua kare ) to unki ye sifarish aur Dua zaroor hi qubool hogi ,"

📓 Sahih Muslim, Ma'aful Hadees

✿ Hazrat Maalik bin Huberah Raziyallahu Anhu se rivayat he k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Aap Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad suna k ,

" Jis Musalman Bande ka inteqal ho aur Musalmano ki teen safe uski Namaze Janaza padhe ( aur uske liye Magfirat v Jannat ki Dua kare ) to zaroor hi Allah Ta'ala uske vaaste ( Magfirat aur Jannat ) waajib kar deta he ,"

⇛Maalik bin Huberah Raziyallahu Anhu ka ye dastoor tha k Jab Wo Namaze Janaza padhne walo ki Ta'adaad kam mehsoos karte to isi Hadees ki vajah se un logo ko Teen safo me taqseem kar dete the ,

📓 Sunan Abi Dauwd ,Ma'arful Hadees

✿ Jab mayyat ki Namaz se faarig ho jaye to foran uske Dafan karne ke liye jaha Qabr khudi ho le Jana chahiye,

📓 Bahishti Gohar

✿ Namaze Janaza ke baad Ahle Janaza ki ijazat ke bager Dafan se pehle wapas na hona chahiye aur Dafan ke baad Bager ijazat ke bhi wapas ho sakte he'n,

📓 Aalamgiri, 1/ 165

Next -46 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 75

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 46

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Dafan Ka Bayan -- Qabr ki No'iyat _,1,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Mayyat ke Gusl ,Kafan aur Namaze Janaza ki tarah Dafan karna bhi Farze Kifaya he, agar kisi ne bhi ye Farz ada nahi kiya to sab gunahgar honge ,

📓 Bahishti Gohar, Aalamgiri

✿ Qabr Kam se kam Mayyat ke nisf ( half ) qad ke barabar gehri khodi jaye ,aur poore qad ke barabar gehri ho to zyada behtar he ,Qad se zyada na hona chahiye, aur muwafiq iske qad ke lambi ho aur Chodaai nisf qad ke barabar ,,Bagli Qabr Banisbat sandooqi ( Shaq ) ke behtar he ,

⇛Haa'n agar Zameen bahut naram ho aur Bagli khodne se Qabr ke beth Jane ka andesha ho to fir Bagli qabr na khodi jaye ,

📓 Shaami,

✿. Bagli Qabr,----

Yani Lahad ,iska Tareeqa ye he k Qabr khod kar uske andar se qibla ki jaanib ek gadha khoda jaye jisme Mayyat ko rakha ja sake , ye ek Chhoti si Kothri ki tarah hota he ,

📓 Shaami,

✿ Sandooqi ( Shaq ) Qabr ,----

Iska Tareeqa ye he k taqriban ek Fit Qabr khod kar uske bicho beech ek Gadha Mayyat ke nisf qad ya poore qad ke barabar gehra khoda jaye ,Jiska Tol ( naap )  Mayyat ke qad ke barabar ho aur Chodaai zyada se zyada nisf qad ke barabar ho ,

📓 Shaami,

✿ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Qabr Mubarak bhi Lahad yani Bagli banayi gayi thi ,baaz rivayaat se maloom hota he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke zamane me sandooqi Qabr bhi jisko Arbi me " Shaq " kehte he ,hasbe moqa banayi gayi he'n ,lekin Afzal Lahad yani Bagli Qabr hi ka Tareeqa he ,

📓 Ma'arful Hadees ,

Next -47 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 76

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 47

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Dafan Ka Bayan - - Qabr Ki No'iyat - 2,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Ye bhi Jaa'iz he k Agar zameen Naram ya Sailab zada ho aur Bagli Qabr na khud sake to Mayyat ki kisi Sandooq ( Taboot ) me rakh kar Dafan kar de ,Sandooq chahe Lakdi ka ho ya patthar ya Lohe ka ,Behtar Ye he k Sandooq me mitti bichha di jaye ,

📓 Shaami , Bahishti Gohar

✿ Bagli Qabar ko kachchi iente'n ( bricks) aur narkal vagera lagakar band kanna chahiye, Pukhta iente'n ya Lakdi ke Takhte laga kar band karna Makrooh he ,

⇛Albatta jaha Zameen Naram ya Sailabi hone ki vajah se Qabr ke beth Jane ka andesha ho to Pukhta iente'n ya Lakdi ke Takhte se band kiya ja sakta he ,aur esi soorat me Sandooq ( Taboot ) me rakhna bhi jaa'iz he, Albatta Sandooqi Qabr ( Shaq ) me Mayyat ke ouper Lakdi ke Takhte ya siment ke slipper lagana bila karahat durust he ,

📓 Durre Mukhtar,

✿  Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Qabr ko ouncha nahi banate aur use iente'n patthar vagera se Pukhta tameer na karte aur use Qalai aur sakht mitti se na leepte ,Qabr ke ouper koi imaarat aur Qubba na banate ,ye sab bid'at aur makrooh he ,

⇛ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Qabr e Anwar aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke dono Sahaba Raziyallahu Anhu ki Qabre bhi Zameen ke ( Taqriban ) barabar he'n ,Sangreze surkh un per chashpa he'n ,

📓 Madarijun Nabuwah ,Safarul Sa'adat

Next -48 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 76

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                 

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 48

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞  Dafan ka Bayan -- Qabr ki No'iyat -3 ,,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki Qabr Sharif ki haiyat aur Shaql  ount ke Kohaan ke mushabe he ,

📓 Shaami ,Ba- Hawala Bukhari Sharif,

✿ Hazrat Saad bin Abi Waqqaas Raziyallahu Anhu ke Sahabzade Aamir Raziyallahu Anhu bayan karte he'n k mere Walid Sa'ad bin Abi Waqqaas Raziyallahu Anhu ne apne Marze Wafaat me Vasiyat Farmayi thi k ,

" Mere Vaaste Bagli Qabr banayi jaye aur usko band karne ke liye Kachchi iente'n khadi  kar di jaye ,Jis tarah Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke liye kiya gaya tha ,"

📓 Muslim Sharif ,Ma'arful Hadees ,

✿ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki Sunnate Taiyaba ye thi k Lahad ( Bagli Qabr) banwate ,aur Qabr gehri karwate aur Mayyat ke Sar aur Paanv ki Jagah ko Faraakh karwate ,( Yani Qabr ki lambaai Mayyat ke Qad se kuchh zyada rakhi jati thi ,taki Sar aur Paanv ki taraf Jagah kushada rahe ,)

📓Zawadul Ma'ad ,

✿ Qabr ke liye agar Aam musalmano ke Qabristaan me jagah na mile ya kisi khaas vajah se ijazat na ho to Qabr ke liye Zameen khareed li jaye ,uski qeemat bhi digar samaane Tajheez v Takfeen ki tarah Mayyat ke tarke me se ada ki jayegi ,

📓 Mufeedul Variseen ,32

Next -49 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 77

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 49

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

      ☞ Qabr me Utaarna  -1,

                         ↴↴↴↴↴↴

☞ Na'ash ko ( Death boady ko ) ek Shehar se doosre Shehar le Jana ,,

✿ Na'ash ko ek Shehar se doosre Shehar me Dafan ke liye le Jana Khilafe Avla he ,jabki Wo doosra maqaam ek do meal se zyada na ho ,agar isse zyada musafat he to jaa'iz nahi ,

⇛Aur Dafan ke baad Na'ash khod kar le Jana to har haalat me na-jaa'iz he ,

📓 Bahishti Gohar,

⇛ Qabr me Janaza Utaarna ,:-

✿ Janaze ko pehle Qibla ki simt Qabr Ke kinaare is tarah rakhe k Qibla Mayyat ke Daayi Janib ho ,fir utaarne wale Qibla rukh khade hokar Mayyat ko Ahatyaat se uthaakar Qabr me rakh de ,

📓 Bahishti Gohar,

✿ Qabr me Rakhte waqt ,

" Bismillahi va billahi va Alaa millati Rasoolillahi ,,"

Kehna mustahab he,

📓 Bahishti Gohar, Zaadul Ma'aad ,

✿ Qabr me utaarne walo ka Taaq ( 3,5,7 ) ya Jaft hona masnoon nahi  ,Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko Aapki Qabre Muqaddas me 4 Aadmiyo'n ne utaara tha ,

📓 Bahishti Gohar,

Next -50 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 79

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                               

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                     Part~ 50

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

       ☞ Qabr me Utaarna - 2,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Qabr me Mayyat ko utaarte Waqt ya Dafan ke baad Azaan kehna Bid'at he ,

📓 Bahishti Gohar,

✿ Mayyat ko Qabr me rakh kar Daahine pehlu per usko Qibla rukh kar dena Masnoon he ,sirf Moonh Qibla ki taraf kar dena kaafi nahi balki poore Badan ko achchhi tarah karwat de dena chahiye,

📓 Bahishti Gohar, islaahi inqlaab e Ummat ,

✿ Qabr me rakhne ke baad Kafan ki Wo girah Jo Kafan khul Jane ke khof ki vajah se di gayi thi ,khol di jaye ,

📓 Bahishti Gohar

✿ Aurat ko Qabr me rakhte waqt Parda karke rakhna mustahab he ,aur agar Mayyat ke Badan ke zaahir ho Jane ka khof ho to fir Parda karna Waajib he ,

⇛ Mardo ke Dafan ke waqt Qabr per Parda karna na chahiye, haa'n agar uzr ho Maslan paani baras raha ho ya barf gir rahi ho ya dhoop ho  to fir jaa'iz he,

📓 Bahishti Gohar,

Next -51 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 79

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

Post a Comment

 
Top