0

❀۞❀                                

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 2

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Mayyat ko Kaun nahlaye ,?

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ 1- Mayyat ko Nahlane ka Haq sabse pehle to uske qareeb tareen Rishtedaro ko he, Behtar he khud nahlaye aur Aurat ki Mayyat ko qareebi Rishtedar Aurat nahlaye , kyuki ye apne azeez ki aakhri khidmat he ,

® Durre Mukhtar,

✿ 2- Koi doosra shakhs bhi nahla sakta he lekin Mard ko Mard aur Aurat ko Aurat gusl de, jo zaruri masail se waqif ho aur deendar ho,

® Shaami,

✿ 3- Kisi ko ujrat dekar bhi Mayyat ko gusl dilaya ja sakta he, lekin ujrat lekar gusl dene wala sawab ka mustahiq nahi hota, agarche ujrat lena jaa'iz he,

  ® Bahishti Gohar,

✿ 4- Agar koi Mard mar gaya aur Mardo me se koi nahlane wala nahi ho to Bivi ke alawa kisi Aurat ke liye usko gusl dena jaa'iz nahi ,agarche Mahram hi ho,

⇛Agar Bivi bhi na ho to Aurat use Tayammum kara de gusl na de ,lekin tayammum karane wali Aurat agar Mayyat ke liye gair Mahram ho to uske Badan ko haath na lagaye ,balki apne haath me dastane pahan kar Tayammum karaye,

® Bahishti Zever ,

     ,,,,     ,,,,Baqi agle part me ,

Next -3 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 40

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                               

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 3

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Mayyat ko Kaun Nahlaye -2,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ 5- Kisi ka Khawaind mar gaya to Bivi ko Uska chehra dekhna, Nahlan aur Kafnana durust he,

⇛Aur agar Bivi mar jaye to to Shohar ko use nahlane, uska badan chhoona aur Haath lagana durust nahi ,albatta dekhna durust he, aur Kapde ke ouper se haath lagana aur janaza uthana bhi jaa'iz he,

® Bahishti Zever, Musafire Akhirat,

✿ 6- Agar kisi nabalig ladke ka inteqal ho jaye aur wo abhi itna chhota tha  k use dekhne se shahwat nahi hoti to Mardo ki tarah Aurate bhi ese ladke ko gusl de sakti he,

⇛ Aur agar nabalig ladki ka inteqal ho jaye aur wo itni kam umar ho k use dekhne se shahwat nahi hoti to esi kam umar ladki ko Aurto ki tarah Mard bhi gusl de sakte he,

⇨ albatta nabalig ladka aur ladki itne bade ho k unko dekhne se shahwat hoti he to Ladke ko Mard aur Ladki ko Aurat hi gusl de,

® Aalamgeer,

✿ 7- Gusl dene wala ba vazu ho to behtar he,

✿ 8- Jo shakhs haalate Janabat me ho ya jo Aurat haiz ya nifaas me ho wo Mayyat ko gusl na de, kyuki unka gusl dena makrooh he ,

® Shaami, Bahisti Zever,

Next -4 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 40

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                   

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 1

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

                         ↴↴↴↴↴↴

☞ Mayyat Ko nehlane aur Kafnane ka Sawaab ,

✿ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k,

" Jo shakhs Mayyat ko gusl de WO gunaho se ESA paak ho jata he jese ab maa'n ke pet se paida hua ho ,

Aur Jo Mayyat per Kafan daale Allah ta'ala usko Jannat ka Joda pehnayenge ,,"

📓 Attargeeb v Tarheeb ,kitabul Janaza - Jild 4,

Next -2 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat ,
📃  Safa no ,40

             ⊙Join  Group ⊙
                      ⇩⇩
            ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                   

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 4

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Gusl dene Walo ke Liye Hidayaat,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ 1- Tareeqe ke mutabiq Gusl diya jaye, ( Tareeqa aage likha jayega in sha Allah ),

✿ 2- Gusl ke liye jo Samaan Zarurat ka he wo apne paas jama rakhe,

✿ 3- Gusl dene ke liye Beri ke patte daal kar garm pani tayyar kar le, Jab neem garam reh jaye usse gusl de,

⇛Agar Beri ke patte mayassar na ho to yahi saada neem garam pani kaafi he,

® Bahishti Zever,

✿ 4- Bahut tez garam pani se gusl na de,

✿ 5- Gusl dene ke liye ghar ke bartan istemal kiye ja sakte he'n, naye Bartan mangana zaruri nahi,

✿ 6- Jis Jagah gusl diya jaye wo esi ho k pani behkar nikal jaye, varna logo ko chalne firne me takleef hogi,

       ,,,,,,    ,,,,Baqi agle part me,

Next -5 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 41

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 5

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Gusl dene walo ke Liye Hidayaat,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ 7- Jis jagah Gusl diya jaye waha parda hona chahiye,

✿ 8- Mayyat ke Baalo me Kanghi na kare, na nakhoon kaate, na hi kahi ke baal kaate, sab isi tarah rehne de,

✿ 9- Agar nehlane me Mayyat ka koi aib dekhe to kisi se na kahe, agar khuda na khasta marne se uska chehra bigad gaya ya kaala ho gaya to ye bhi na kahe aur bilkul iska koi charcha na kare, k ye sab na-jaaiz he,

✿ 10-Agar koi achchhi alaamat dekhe, maslan chehra nooraniyat aur Tabassum vagera, to use zaahir karna mustahab he,

✿ 11- Jo shakhs pani me doob kar ya Aag se jalkar halaak hua ho to uske gusl aur Kafan dafan vagera ke masail pehle dekh liye jaye,

✿ 12- Agar pani na hone ke sabab kisi Mayyat ko Tayammum kara diya gaya ho aur fir pani mil jaye to usko gusl de dena chahiye,

® Bahishti Zever,

Next -6 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 41

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                 

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 6

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞  Mayyat  ko  Gusl  Dene  ka  Tareeqa, -1,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Jis Takhte per Gusl diya jaye usko 3 dafa ya 5 dafa ya 7 dafa lobaan ki dooni de lo aur Mayyat ko us per is tarah litaao k qibla uske Daayi taraf ho ,

⇛ Agar moqa na ho aur kuchh mushkil ho to jis taraf chaho lita do ,

®Fatahul Qadeer ,1/449, Shaami ,1/800

✿ Fir Mayyat ke Badan ke kapde ( Kurta,Sherwani ,Baniyan vagera ) chaak kar do aur ek Tahband uske satar per daal kar andar hi andar wo kapde utaar lo ,

⇛Ye Tahband mote kapde ka naaf se pindli tak hona chahiye, taki bheegne ke baad andar ka Badan nazar na aaye ,

➡ Masla -- Naaf se lekar Jaanu tak dekhna jaa'iz nahi ,esi jagah haath lagana bhi na-jaa'iz he ,Mayyat ko istinja karane aur Gusl dene me us jagah ke liye dastane pehanna chahiye ya kapda haath per lapet le , kyuki zindgi me jis jagah haath lagana jaa'iz nahi waha marne ke baad bhi bila dastane ke haath lagana jaa'iz nahi aur us per nigaah bhi na daalo ,

       ® Bahishti Zever ,

        ------ Baqi Agle part me,

Next -7 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 42

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 7

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞  Mayyat  Ko. Gusl. Dene. Ka. Tareeqa - 2 ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Gusl shuru karne se pehle Baaye haath me Dastana pehan kar mitti ke 3 ya 5 dhelo se istinja karao, fir pani se paak karo, fir vazu is tarah karao k na kulli karao, na naak me pani daalo, na gatto tak haath dhulao, balki Rooi ka faaya tar karke honto, daanto aur masudo per fer kar fenk do, is tarah 3 dafa karo,

✿ Fir is tarah naak ke dono surakho ko Rooi ke faaye se saaf karo,

⇛Lekin agar Gusl ki zarurat ( Janabat ) ki haalat me maut Hui ho ya Aurat inteqaal ke waqt Haiz ya Nifaas ki haalat me ho to moonh aur naak me pani daalna zaruri he, Pani daalkar kapde se nikaal lo,

✿ Fir naak aur moonh aur kaano me Rooi rakh do taki Vazu aur Gusl karat waqt Pani andar na jaye,

✿ Fir moonh dhulao, Fir haath kohniyo samet dhulao, fir sar ka masah karao, Fir 3 dafa dono payr dhulao,

          ------- Baqi agle part me,

Next -8 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 42

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                   

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 8

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞  Mayyat  Ko  Gusl  Dene  Ka  Tareeqa - 3 ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Jab Vazu kara chuko to sar ko ( aur agar Mard he to Daadi ko bhi ) Gule khairu se ya Khatmi ya Khali ya Besan vagera se k jisse saaf ho jaye mal kar dho do ,

✿ Fir use Baayi karwat litaao aur Beri ke patto me pakaya hua neem garam pani Daayi karwat per 3 dafa sar se payr tak itna daalo k niche ki jaanib Baayi karwat tak pahunch jaye ,

✿ Fir Daayi Karwat per litaa kar isi tarah se payr tak 3 dafa itna pani daalo k niche ki jaanib Daayi karwat tak pahunch jaye ,

✿ iske baad Mayyat ko apne Badan ki tek lagakar Zara bithlane ke qareeb kar do aur uske pet ko ouper se niche ki taraf aahista aahista malo aur dabao ,

⇛ Agar kuchh peshab ya pakhana bager kharij ho to sirf usi ko ponchh kar chhod do ,Vazu aur Gusl dohrane ki zarurat nahi. Kyuki is napaaki ke nikalne se Mayyat ke Gusl aur Vazu me koi nuksaan nahi aata,

     ------ Baqi Agle part me ,

Next -9 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 42

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
     •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                   

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                     ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 9

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞  Mayyat Ko Gusl dene ka Tareeqa,- 4 ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Fir usko Baayi karwat litaa kar Daayi karwat per kafoor mila hua pani Sar se payr tak 3 dafa khoob baha do k niche Daayi karwat bhi khoob tar ho jaye ,

✿ Fir doosra Dastana pehan kar saara Badan kisi Kapde se Khushk karke Tahband doosra badal do ,

✿ Fir Chaarpai per Kafan ke kapde Masnoon tareeqe per ouper niche  bichha do ,( Masnoon tareeqa aage part me likha jayega in sha Allah)

✿ Fir Mayyat ko Aahista se Gusl ke Takhte se uthaa kar Kafan ke ouper litaa do aur Naak Kaan aur Moonh se Rooi nikaal dalo ,

® Fatawa Hindiya ,Durre Mukhtar ,Bahishti Zever ,Musafire Akhirat ,

✿ Nahlane ka Jo Tareeqa ouper bayaan hua Sunnat he lekin agar koi is tarah 3dafa na nahlaye balki sirf 1 dafa saare Badan ko dho daale tab bhi Farz ada ho jayega ,

® Bahishti Zever

✿ Agar Mayyat ke ouper pani baras jaye ya aur kisi tarah poora Badan bheeg jaye to ye bheeg Jana Gusl ke qaayam makaam nahi ho sakta ,Use Gusl dena bahar haal Farz he ,

⇨Isliye k Mayyat ko Gusl dena zindo per Farz he aur mazkoora soorto se unka koi Amal nahi hua ,

⇨,Haa agar pani se nikaalte waqt Gusl ki niyat se usko pani me harkat de di jaye to Gusl ka Farz ada ho jayega ,

® Bahishti Zever,

Next -10 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 43

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 11

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Mayyat ko Nahlaane Ke Baad Khud Gusl karna,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Mayyat ko Gusl dene wale ko baad me khud bhi Gusl kar lena mustahab he,

® Shaami,

✿ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, k

" Jo shakhs Mayyat ko Gusl de to usko chahiye k Gusl kare, "

® Ibne Maaja,

✿ Aur doosri hadees me izaafa he k,

" Jo Shakhs Mayyat ka janaza uthaye usko chahiye k Vazu kare, "

® Ma'arful Hadees,

Next -11 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 45

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                   

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 11

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

         ☞  Kafan Ka Bayaan -1,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Tum log Safed kapde pehna karo ,Woh tumhare liye achchhe kapde  he'n aur inhi Kapdo me apne Murdo ko Kafnaya karo ,"

® Sunan Abi Daowd, Sunan ibne Maaja, Jaamia Tirmizi,

✿ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Besh qeemat Kafan istemal na karo, kyuki wo ( kafan baharhaal ) jald hi khatm ho jata he,
(Fir besh qeemat Kafan ka Mayyat ko kya faayda? )""

® Sunan Abi Daowd, Ma'arful Hadees,

Next -12 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 47

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                   

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 12

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

         ☞  Kafan Ka Bayaan -2 ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Jesa k Mayyat ko Gusl dena Farze Kifaaya he ,Kafan dena ,us per Namaze Janaza padhna aur Dafan karna bhi Farze Kifaya he ,

✿ Kafan ka Kapda bhi agar ghar me mojood ho aur Paak Saaf ho to uske istemal me koi harj nahi ,

✿ Kafan ka Kapda usi haisiyat ka hona chahiye jesa Murda aksar apni zindgi me istemal karta tha ,takallufaat fizool he ,

® Bahishti Zever,

✿ Mard aur Aurat Dono ke liye sabse achchha Kafan safed kapde ka he aur Naya aur Purana yaksa he ,

® imdadul fatawa, Durre Mukhtar ,

✿ Mard ke liye khaalis Reshami ya Zaafran ya Asfar se range hue kapde ka Kafan makrooh he ,Aurat ke liye jaa'iz he ,

® Durre Mukhtar,

✿ Apne liye pehle se Kafan tayyar rakhna makrooh nahi ,Qabr ka tayyar rakhna makrooh he,

® Bahishti Zever,

Next -13 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 46

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                 

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 13

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

         ☞ Kafan Ka Bayaan - 3 ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Tabarruk ke tor per Aabe zamzam me tar kiya hua Kafan dene me koi mujaayqa nahi balki baaise barkat he ,

®Imdadul Fatawa

✿ Kafan me ya Qabr ke Andar Ahadnama ya kisi buzurg ka shajra ya Qurani Ayaat ya koi Dua rakhna durust nahi ,isi tarah Kafan per ya seene per kafoor se ya roshnaai se kalma vagera ya koi Dua  likhna bhi durust nahi ,

®Bahishti Zever

✿ Kisi buzurg ka istemal kiya hua kapda ya gilaafe Kaaba ke niche ka Kapda ho to ye Kafan ke liye bager dhule naye kapde se bhi behtar he ,is Kapde ka agar Kurta ( Jo Mayyat ko Kafan me pehnaya jata he ) ho sake to kar de aur agar Chhota ho to karte me si do ,

®Imdadul Fatawa ,1/488

✿ Kaaba Sharif ke gilaaf ke ouper ka Kapda jis per Kalma ya Qurani Ayaat likhi ho WO Kafan ya Qabr me rakhna durust nahi,

®Imdadul Fatawa ,Shaami ,

✿ Gilaafe Kaaba agar khaalis resham ka ho to Mard ko usme Kafnana bahar haal na-jaa'iz he chahe us per kuchh likha ho ya na likha ho. Kyuki Mayyat ko ese Kapde me Kafan dena jaa'iz nahi José pehanna usko zindgi me jaa'iz na tha ,aur khaalis resham ka kapda Mardo ko pehanna jaa'iz nahi ,Aurto'n ko jaa'iz he,

®Durre Mukhtar,

✿ Baaz jagah Rivaaj he k Nojawaan ladki ya Nayi Dulhan mar jati he to uske Janaza per surkh chadar ya zari gota ka dupatta vagera daal dete he ya na-jaa'iz he ,

®Durre Mukhtar, imdadul Fatawa ,

⇨ Kisi insaan ki Qabr khul jaye ya aur kisi vajah se uski laash Qabr se bahar nikal aaye aur us per Kafan na ho to usko bhi masnoon Kafan dena chahiye, basharte k laash fati na ho aur agar fat gayi ho to sirf kisi kapde me lapet dena kaafi he ,

® Bahishti Gohar ,

Next -14 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 46

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                              

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 14

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞  Kafan ka Bayaan -4 ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Mard Ka Kafan ,

⇛ Mard ke Kafan ke masnoon Kapde 3 he ,

1- ijaar ............sar se paanv tak ,

2- Lifafa ( ise chadar bhi kehte he'n )............ijaar se lambaai me 4 girah zyada ,

3- Kurta bager Aasteen aur Bager Kali ka .......gardan se paanv tak, ( ise Kameez ya Kafni bhi kehte he'n )

✿ Aurat  Ka Kafan ,,

⇛Mard se 2 Kapde Zyada hote he'n ,

1,2,3 Mard ki tarah hi hote he'n ,

4- Seena Band ........bagal se raano tak ho to zyada achchha he varna naaf tak bhi durust he aur chodaai me itna ho k bandh jaye ,

5- Sar Band ( ise oadni bhi kehte he ) .......teen haath lambi ,

✿ Mard ko 3 aur Aurat ko 5 Kapde me kafnana masnoon he ,lekin agar Mard ko 2  Kapde ( ijaar aur lifaafa ) me aur Aurat ko 3 kapdo ( ijaar ,Lifafa aur Sar Band ) me kafna diya jaye to ye bhi durust he aur itna Kafan bhi kaafi he ,

⇛isse kam Kafan dena makrooh he ,Haa'n agar koi majburi aur lachaari ho to kam bhi durust he ,

📓 Bahishti Zever,

Next -15 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 48

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
     •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                   

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 15

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

       ☞ Bachcho Ka Kafan -1,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Agar na-baalig ladka ya ladki mar jaye Jo abhi jawan bhi nahi hue the lekin Jawani ke qareeb pahunch gaye ho to ladke ke kafan  me 3 Kapde aur ladki ke Kafan me 5 Kapde dena durust he ,

⇛Agar ladki ko 5 ki bajaye 3 aur ladke ko 3 ke bajaye 2 hi Kapde diye jaye tab bhi durust he ,

→garz ye k Jo hukm baalig Mard v Aurat ka he wahi hukm na-baalig ladke aur ladki ka he ,baalig Mard v Aurat ke liye WO hukm takeedi he aur na-baalig ke liye behtar he ,

®Shaami ,Bahishti Zever,

✿ Jo ladka ya ladki bahut kam Umari me faut ho jaye k Jawani ke qareeb bhi na hue ho to behtar ye he k ladko ko Mardo ki tarah 3 kapde aur ladki ko Aurto'n ki tarah 5 Kapde Kafan ke diye jaye ,

⇛Aur agar ladke ko sirf ek aur ladki ko sirf 2 Kapde Kafan me de diye jaye to bhi durust he aur Namaze Janaza aur Tadfeen hasbe dastoor ki jaye ,

®Bahishti Zever, Aalamgeer

✿ Jo Bachcha Zinda paida hua fir thodi der me hi mar gaya ya foran paida hone ke baad mar gaya to WO bhi isi qaayde se nehla diya jaye aur Kafana kar Namaze Janaza padhi jaye fir Dafan kar diya jaye aur uska naam bhi kuchh rakha jaye ,

®Bahishti Zever,

Next -16 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 49

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 16

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

       ☞ Bachcho Ka Kafan -2,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Jo Bachcha Maa'n ke Pet se Mara hua paida hua aur paida hote waqt zindgi ki koi alamat nahi payi gayi, Usko bhi usi tarah nehlao lekin qaayde ke muwafik Kafan na do sirf ek Kapde me lapet kar dafan kar do .

⇛Aur Namaze janaza bhi nahi padhi jayegi, albatta naam uska bhi kuchh na kuchh rakh Dena chahiye,

® Bahishti Zever,

✿ Agar Hamal gir jaye to agar Bachche ke haath -paanv -moonh -naak vagera uzv kuchh na bane ho to na nehlao aur na Kafanaye, kuchh na kare balki kisi Kapde me lapet kar ek Gadda khod kar gaad do,

⇛Aur agar us Bachche ke kuchh uzv ban gaye to uska wahi hukm he Jo Murda Bachcha paida hone ka he yani naam rakha jaye, aur nehla diya jaye lekin qaayde ke muwafik Kafan na diya jaye, na namaz padhi jaye balki ek Kapde Me lapet kar Dafan kar diya jaye,

® Bahishti Zever

✿ Wiladat ke waqt Bachche ka keval sar nikla, us waqt wo zinda tha fir mar gaya to iska wahi hukm he Jo Murda Bachche paida hone ka hukm he,

⇨albatta agar zyada hissa nikal aaya uske baad mara to esa samjhenge k wo zinda paida hua,

⇛ Aur agar Sar ki taraf se paida hua to seena tak nikalne se samjhenge k zyada hissa nikal aaya aur agar Ulta paida hua to Naaf tak nikalna chahiye,

® Bahishti Zever. Ba- Hawala Durre Mukhtaar,

Next -17 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 49

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 17

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Kafan Ki Pemaish ka Tareeqa,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Kafan ki pemaish aur uski tayyari ka tareeqa Mard ke liye ye he k Mayyat ke Qad ke barabar ek lakdi ( ya Feeta ) lo aur usme ek nishan lagalo ,aur ek dhaga seene ke muqabil rakh kar jism ki golaai me nikaalo k dono sire us dhaage ke dono taraf ki pasliyo per pahunch jaye ,aur isko tod kar apne paas rakh lo

✿ Fir ek kapda lo kiska arz us dhage ke barabar ( ya naap ke barabar) ya qareeb barabar ho ,agar arz is qadar na ho to usme jod laga kar poora kar lo ,

✿ Aur us poori lakdi ( ya feeta se Jo Qad ka naap liya ) ke barabar lambi ek chaadar faad lo ,isko izaar kehte he,

✿ is tarah doosri chaadar faad lo ,Jo arz me to is qadar ho albatta tol me izaar se chaar guna zyada ho isko lifaafa kehte he ,

✿ Fir ek kapda lo jiska arz ba- qadr chodaai jism Mard ke ho aur lakdi ( ya feeta ) ke nishan se Aakhir tak jis qadar tol he uska dugna faad lo aur dono sire kapde ke milaakar beech me se chaak khol lo k sar ki taraf se gale me aa jaye ,isko Qameez ya Kafni kehte he ,

✿ Aurat ke liye Mardo ke sab Kapde to wahi he aur unhe tayyar karne ka tareeqa bhi wahi he Jo ouper Bataan hua ,iske alawa Aurto'n ke liye 2 kapde aur he'n ,
1- Seena Band ,2- Sar Band jise odni kehte he ,

Seena Band zere bagal se raano tak aur dhaaga mazkoor ke ba-qadr choda ,

Sar Band nisf izaar se teen girah zyada lamba aur 12 girah choda ,

Next -18 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 49

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 18

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

     ☞Kafan-- Zaa'id ( Extra ) Kapde ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Baaz kapde logo ne Kafan ke saath zaruri samajh rakhe he'n ,halanki WO kafan e masnoon se khaarij he'n ,isliye Mayyat ke tarke me se Jo k sab waariso me mushtarik he aur mumkin he k in me baaz na-baalig bhi ho ya baaz yaha haazir na ho ,un kapdo ka kharidna unke maal me na-jaa'iz tasarruf karna he ,

⇛ Avval to in cheezo ki haajat nahi balki inki pabandi bid'at he ,albatta Aurto'n ke janaze per ( gahware ki ) chaadar Parde ke liye zaruri he ,

★• WO Jaa'id ( Extra ) kapde ye he'n,----

✿ 1- JaayNamaz ::-----

⇛ Ye mahaz ek Rasm he ,Namaze Janaza me muqtadiyo ko  chataai ya Farsh ki zarurat nahi isi tarah Imaam ko JaayNamaz ki haajat nahi ,

✿ 2- Patka ----

⇛Ye Murda ko Qabr me utaarne ke liye hota he ,

✿ 3- Bichhona :---

⇛ Ye charpai per bichhane ke liye hota he ,

✿ 4- Daamani :---

⇛ Ba qadre istetaat 4 se 7 tak mohtajo ko dete he'n ,Jo mahaz Aurto'n ke liye makhsoos he ,

✿ 5- Chaadar Kala'n ---

⇨ Jo Gahware per daali jati he ,magar ye Kafan se kharij he ,

Next -19 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 52

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 19

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Mard Ko Kafnane Ka Tareeqa,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Jab Mayyat ko Gusl de chuke to Chaar Paai bichha kar Kafan ko 3 dafa ya 5 dafa ya 7 dafa lobaan vagera ki dhooni do ,

✿ Fir Kafan ko chaar paai par bichha kar Mayyat ko is per Lita do aur Naak ,Kaan ,Moonh se rooi Jo Gusl ke waqt rakhi gayi thi nikaal daalo ,

✿ Mard ko Kafnane ka Tareeqa ye he k pehle Lifafa bichha kar us per izaar bichha do fir Kurta ( Kameez ) ka nichla nisf hissa bichha do ,aur ouper ka baqi hissa samet kar sarhane ki taraf rakh do ,

⇛Fir Mayyat ko Aahista se utha kar us bichhe hue Kafan per Lita do aur Kameez ka Jo nisf hissa sarhane ki taraf rakha tha ,usko sarhane ki taraf ulat do k Kameez ka suraakh ( girebaan ) gale me aa jaye ,aur payro ki taraf bada do ,

⇛ Jab is tarah Kameez pehna chuko to Gusl ke baad Jo Tehband Mayyat ke Badan per daala gaya tha WO nikaal do ,aur uske sar aur Daadi per itr vagera koi khushbu laga do ,fir dono ghutno ,peshani ,naak ,hatheli ,paanv per ( jin Aaza per Aadmi Sajda karta he ) kafoor mal do ,

⇛ Yaad rahe Mard ko Zaafraan nahi lagani chahiye

✿ iske baad izaar ka baaya palla ( kinara ) Mayyat ke ouper lapet do ,Yani baaya palla niche rahe aur daaya ouper ,

✿ Fir Lifafa is tarah lapet do k baaya palla niche aur daaya palla ouper rahe ,Fir Kapde ki katran lekar Kafan ko sar aur paanv ki taraf se baandh do ,aur bich me se Kamar ke niche ko bhi ek katran se baandh do ,taki hawa se ya hilne julne se khul na jaye ,

® Shaami,Bahishti Zever, Musafire Akhirat

Next -20 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 53

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                 

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 20

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Aurat ko Kafnane ka Tareeqa -1 ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Aurat ke liye pehle lifafa bichha kar is per seena  band aur us per izaar bichhao fir qameez ka nichla nisf hissa bichhao aur ouper ka baqi ka hissa samet kar sirhane ki taraf rakh do ,

⇛Fir Mayyat ko Gusl ke Takhte se Aahista se uthakar us bichhe hue Kafan per Lita do aur qameez ka Jo nisf hissa sirhane ki taraf rakha tha usko sar ki taraf ulat do k qameez ka suraakh ( girebaan ) gale me aa jaye aur pero ko taraf bada do ,

✿ Jab is tarah qameez pehna chuko to Jo Tahband Gusl ke baad Aurat ke Badan per daala gaya tha WO nikaal do ,aur uske sar per kafoor itr vagera koi khushbu laga do ,Aurat ko zaafraan bhi laga sakte he'n

✿ Fir peshani ,Naak aur dono hatheliyo aur dono ghutno aur dono paanvo per kafoor mal do ,

✿ Fir sar ke Baalo ko di  hisse karke qameez ke ouper seena per daal do ,ek hissa dahini taraf aur doosra hissa baayi taraf ,fir sarband , yani odni sar per aur baalo per daal do ,unko baandhna ya lapetna nahi chahiye,

✿ iske baad Mayyat ke ouper izaar is  tarah lapeto k baaya palla ( kinara ) niche aur daaya palla ( kinara ) ouper rahe ,Sar band uske Andar aa jayega ,iske baad seena band iske Andar aa jayega ,iske baad seena band seene ke ouper baglo se nikaal kar ghutno tak daayi baaye baandh do ,

⇛Fir Lifafa is tarah lapeto k baaya palla niche aur daaya palla ouper rahe ,iske baad katran se Kafan ko sar aur paanv ki taraf se baandh do ,aur beech me Kamar ke niche ko bhi ek badi katran se baandh do taki hilne julne se khul na jaye ,

📓Bahishti Zever, Musafire Akhirat ,

Next -21 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 53

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                               

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 21

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞  Kafnane ka Tareeqa - 2,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Baaz log Kafan per bhi itr lagate he , aur itr ki fureri Mayyat ke kaan me rakh dete he'n ,ye sab Jahalat he ,Jitna Shariyat me aaya he usse zyada mat karo ,

📓 Bahishti Zever,

✿ Janaze ke ouper Jo chaadar daal dete he ye Kafan me daakhil nahi he aur Mard ke liye zaruri bhi nahi ,lekin agar koi shakhs apni chaadar us per daal de aur Qabr per jaakar apni chaadar utaar le to isme bhi koi harj nahi ,

📓 Musafire Akhirat

✿ Albatta Aurat ke Janaza per chaadar daalna parde ke liye zaruri he ,magar Kafan me ye bhi daakhil nahi ,Chunache iska humrang Kafan  hona zaruri nahi ,Parde ke liye koi sa kapda ho kaafi he ,balki koi shakhs apni chaadar us per daal de aur Qabr per jaakar utaar le to bhi kaafi he ,

📓 Musafire Akhirat, Bahishti Zever

✿ Agar Gahwara mojood ho to Aurat ke janaze per WO rakh kar chaadar daal di jaye ,varna Baans ki tiliya'n ya darakht ki hari shaakh rakh kar us per chaadar daal de taki parda rahe ,

📓 Musafire Akhirat,

✿ Mazkura bala tareeqe se janaza tayyar karke us Akhirat ke musafir ko Namaze Janaza ke liye Sabr v tahammul ke saath rukhsat karo ,

⇛Kisi ko moonh dikhlana ho to dikha do ,is moqe per baaz Aurte'n buland awaaz se rone aur been karne lagti he ,ya Janaza ke saath ghar se bahar nikal aati he aur parde se bhi gaafil ho jati he ,in sab baato se khud bachna aur doosro ko bachana zaruri he ,varna Sabr ka azeemushan sawaab jata rahega aur Akhirat ka vabaal bhi sar padega ,

Next -22 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 54

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                 

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 22

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞ Tajheez v Takfeen se Bacha hua Samaan ,,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Gusl aur Kafan Dafan ke samaan me se agar kuchh kapda vagera Bach jaye to WO yunhi kisi ko dena ya zaay kar dena jaa'iz nahi ,

,balki isme ye tafseel he k agar WO Mayyat ke Tarke se liya gaya tha tab to use Tarka hi me rakhna waajib he ,Taki Shariyat ke mutabiq Tarka ki taqseem me WO bacha hua samaan bhi shamil ho jaye ,

⇛Aur agar kisi aur Shakhs ne apni taraf se diya tha to bacha hua samaan usi ko wapas kar diya jaye ,

📓 Aalamgeeriya,

✿ Agar kisi Lawaris Faqeer ki Tajheez v Takfeen ke liye logo se chanda liya gaya tha to Jo samaan ya Raqam bache WO Chanda dene walo ko waapas kiya jaye ,

⇛Agar chanda dene wale ya unka pata maloom na ho sake to kisi aur Lawaris faqeer ki Tajheez v Takfeen me kharch kar diya jaye ,Varna Fuqra Masakeen ko sadqa me de diya jaye ,

📓 Durre Mukhtar, Shaami ,

Next -23 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 55

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                  

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 23

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

           ☞  Janaza Uthana -1,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,,

"" Jo Aadmi imaan ki Sift ke saath aur Sawaab ki niyat se kisi musalman ke janaze ke saath jaye ,

aur us waqt tak Janaza ke saath rahe jab tak k us per Namaz padhi jaye aur uske Dafan se faragat ho to WO sawaab ke do qeeraat lekar wapas hoga ,

Jinme se har qeeraat uhad pahaad ke barabar hoga ,

Aur Jo Aadmi Namaze Janaza padh kar waapsa aa jaye Dafan hone tak saath na de to WO sawaab ka ( esa hi ) ek qeeraat lekar waapas hoga ,

📓 Ma'rful Hadees ,Sahi Bukhari v Muslim,

Next -24 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 56

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 24

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

         ☞ Janaza Uthaana - 2 ,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

" Janaze ko tez le jaya karo ,agar WO nek he to ( Qabr uske liye ) khair he ,( yani achchhi manzil he ) jaha tum ( tez chalke ) use jald pahuncha doge ,

Aur agar uske Siva doosri soorat he ( yani Janaza nek ka nahi he ) to ek bura bojh ( tmhare kandho per ) he ( tum tez chalke jaldi ) usko apne kandho se utaar doge ,"

📓 Sahi Bukhari v Muslim, Ma'arful Hadees ,

✿ Hadees me he k Jo shakhs ( Janaze ki ) chaar paayi Charo taraf se uthaye  ( yani Charo taraf se Kandha de ) to uske 40 kabeera gunaaho ( yani Sagaa'ir me Jo bade sagaa'ir he'n ) bakhsh diye jayenge ,,

📓Bahishti Zever ba hawala ibne asakir ,

✿ Mayyat agar padosi ya Rishtedar ya koi nek parhezgaar shakhs ho to uske janaze ke saath Jana nifl Namaz padhne se Afzal he ,

📓 Aalamgeeri ,

✿ Zarurat pesh aa jaye to Janaza ujrat dekar bhi uthwaya ja sakta he ,

📓 Aalamgiri ,

✿ Aurto'n ka Janaze ke saath Jana makrooh tehrimi he ,

📓 Bahishti Gohar ,

Next -2 5©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 56

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
❀۞❀                                

           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

        ⊙ AHKAAM E MAYYAT ⊙
                      ↓↓↓↓
                                         
                       Part~ 25

✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿

☞  Janaza Le Jane Ka Masnoon Tareeqa,-1,

                         ↴↴↴↴↴↴

✿ Agar Mayyat SherKhwar Bachche ya usse kuchh bada ho to logo ko chahiye k use Dast ba Dast le jaye ,yani ek Aadmi usko apne dono haatho per uthaye ,fir usse doosra Aadmi le le ,isi tarah badalte hue le jaye ,

📓 Bahishti Gohar ,

✿ Aur agar Mayyat Badi ( Mard ya Aurat ) ho to usko kisi chaar paayi ( ya Gahwara me ) vagera per Lita kar le jaye ,Sarhana aage rakhe ,aur uske Charo paayo ko ek ek Aadmi uthaye ,Mayyat ki chaar paayi haatho se uthakar kandho per rakhna chahiye,

⇛Haatho se uthaye bager maal v asbaab ki tarah gardan per laadna makrooh he ,peeth per laadna bhi makrooh he ,isi tarah bila uzr iska kisi jaanwar ya gaadi vagera per rakh kar le Jana bhi makrooh he ,aur uzr ho to bila karahat jaa'iz he ,Maslan Qabristan bahut door ho ,

📓 Bahishti Gohar ma'a hashiya ,

✿ Janaze ko do patiyo ( lakdiyo'n ) ke darmiyan is tarah uthana bhi makrooh he k do Do Aadmiyo'n ne utha rakha ho ,ek ne aage se doosre ne pichhe se ,Jese bhari samaan kheencha jata he ,

⇛ Haa ,majburi me muzayqa nahi ,Maslan raasta itna tang ho k char Aadmi sunnat ke mutabiq utha kar na guzar sake ,

📓 Aalamgiri ,

✿ Janaza ko uthane ka mustahab Tareeqa ye he k pehle Mayyat ke daahini taraf ka agla paya apne Daahine kande per rakh kar kam se kam 10 qadam chale ,uske baad usi taraf ka pichhla paya  apne Daahine kandhe per rakh kar kam se kam 10 qadam chale ,

⇛iske baad Mayyat ke Baayi taraf ka agla paya apne baaye kandhe per rakh kar ,fir pichhla paya apne kandhe per rakh kar kam se kam 10-10  qadam chale ,taki Charo payo ko mila kar 40 qadam ho jaye ,Hadees Sharif me Janaza ko kam se kam 40 qadam tak kandha dene ki badi fazilat he ,

📓 Bahishti Gohar, Durre Mukhtar, Shaami ,

Next -26 ©ontinue in sha Allah,,

📓 Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 57

        ⊙Join  Group ⊙
                  ⇩⇩
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

Post a Comment

 
Top